Table of Contents
Ye sb noori ilam ki iksaam hain Jo hakeeki or bunyadi haysiyat rukhti hain. Ap apnay har maslay ka hulk humara se online nori ilam k zarye hasil kar saktay hain. Noori ilam bohat faida mand ilam hai ais main hum Qurani ilam k zarye rahnomai hasil kar saktay hain.
Is k ilawa ap online free zaicha k zarye ap apnay naam ka matlab or zindagi main ana wali parishani ka pata kar sakta hain. ap free zaicha bhi banwa saktay hain jo ap ko ap ki roz mara zindagi k bara main btaya ga aur ye btaya ga ka ager koi kam ap start karna chahta hain wo kam ap ka liye theak hai k nai. Is tarhan ap online zaicha ka zarye apnay masail ka hulk kar sakta hain.
Amliyat:
Doosri makhlook ko taskhear karna, aun se madad Layna, mukhtalif iksam ki parhai krna amliyat kahlata hai. Is main ap ko bohat se khatrat paysh aa saktay hain, kun ka ais main ap dosri mukhlokat ki takat istimal krtay hain. Roohani amliyat ka maksad ye hai ka poshida kuwat ko hasil kia jaya, Lakin rohaniyat waqt talb ilam hai. Rohaniyat aik mahfooz ilam hai, magr amliyat main jan ka khatra lazmi hota hai. Aysa nai k amliyat ka ilam khtarnak hai ais se dosti or help bhi hoti hai.
In poshida kuwat ko hasil krna ka amliyat bhi khatarnak hota hain. Amliyat 2 tarhan se kiya jata hai, aik qurani tarika k zarye logoun ki khidamt ka liye or dosra shaitani tarika se burai k liye. Insan k har kam ka daro madar niyat par hai.
Amliyat ki Mukhtalif Sift hain:
- Ilam jinnat
- Ilam muklaat
- Ilam hmzaad
- Ilam jahfr
- Ilam paryan
- Qurani amliyat
- Amliyat arwah
- Taskhir hywanat
- Davi or davtaoun ki taskhir
- Kala jadu
Ain sub ko mila kar amliyat ka ilam banta hai. Ye pakeza ilam aur har naik sift amliyat ki sift main milain ga. akhir wali two sift insan ka liye haram hain. ye kufar ki tarf lay jain gi jahn wo na dunya ka raha ga na akhrat ka. Amliyat ki dunya main insan ko apna iman kaim Rakhna hai to usay chahya Qurani amliyat se istifada hasil kara. Amliyat ka ilam dolat, shohrat or izat hasil karna ka liye nai hai, bulka bhatki hoi makhlook ko naik rah par lana par bhi hai.
Ager kisi insan ka maksad ye hai ka kisi jinnat ko kaboo kar lon aur aysah o ishrat ki zindagi guzaroun to is insan ko kabhi ilam hasil nai ho ga. wo mayoos ho kar lotay ga, wo kala jadu ki taraf mail ho jay ga. Aj ka door ma Aamil yehi ab kar raha hain logoun ko theak ilam nai data, wo mayous ho jatay hain. laykin jub unhain kala jadu ka ilam data hain wo foran kamyab ho jata hain. Kun ka shaitan isi talash ma rahta hai ka insan ko gumrah kroun.
Is ilam main shaitan in ko kamyabi dilwa kar ausa iman se door lai jata hai. Jadu sikhana wala islam se nikal jata hain. jb logoun ko smjhaya jata hai k buri rah main na chalain to wo kahta hain ap ka Qurani ilam kam nai krata. Aysa is waja hai k hm sochta hain jin ko taskhir kar ka apni life khushgawar bana lain gay laykin ais doran hum Allah ko bhool jatay hain. wo log jo har hal0l main Allah ko pukara us ka shukar ada kara wo Allah k kareb ho jata hai. Ilam hasil krna sunat hai laykin logoun ki bhalai k liye hasil kiya jaya.